Hamari kahani
Naam ka matlab hi poori baat hai.
MEALAWO do lafzon se bana hai. Meal, yani khana. Aur Lawo, jo Gujrati mein laane ko kehte hain, magar izzat ke sath. Urdu mein us ki jagah hum “laiyay” ya “laain” kehte hain, “laao” nahi.
Ye chhota sa farq hi asal baat hai. Meal Laiyay mein hukum nahi, guzarish hai. Aur jo brand ghar ki khawateen ki izzat ki kamai par khara ho, us ka naam bhi izzat wala hi hona chahiye tha.
Jab bhookh lagti hai to sabar nahi hota. Dukan chhor kar khane ja nahi sakte, ghar se roz tiffin la nahi sakte, aur bazaar ka khana roz roz na jaib sehti hai na sehat. Wahin MEALAWO kaam aata hai.
Hamara khana kisi bade commercial kitchen mein nahi banta. Wo un ghar ki khawateen ke haathon banta hai jo apne pakane ke hunar se izzat ki rozi kamana chahti hain. Aur wo naujawan ise pohanchate hain jo part time kaam karke apna kharcha nikalna chahte hain.
Concept
Aik plate khane ke peeche do ghar chalte hain.
Ye sirf khana bechne ka kaam nahi hai. Har box teen logon ko jorta hai, aur teenon ka faida hota hai. Yehi hamari poori soch hai.

Ghar ki khatoon
Apne hi kitchen mein, apne hi haathon se. Ghar se bahar nikalne ki zaroorat nahi, parde mein reh kar kamai. Jo hunar ab tak sirf ghar walon ne chakha tha, ab us ka mol milta hai.
Har box par apni aamdani

Ilaqe ka naujawan
Sirf lunch ke do teen ghante ka kaam. Padhai ke sath, ya doosre kaam ke sath, dono chal jate hain. Apni bike, apna ilaqa, apne log.
Har delivery par apna hissa

Market ka dukandar
Dukan chhore baghair, waqt par, ghar jaisa khana. Na bahar jane ka jhanjhat, na bazaar ke khane ka darr. Rate itna ke rozana afford ho.
Roz taza khana, wajib qeemat
Beech mein MEALAWO hai. Hum order lete hain, quality aur safai dekhte hain, aur paisa teenon ke beech theek tarah taqseem karte hain. Na khatoon ko bahar nikalna parta hai, na naujawan ko poora din dena parta hai, na dukandar ko dukan chhorni parti hai.
Vision
Kahan pohanchna hai.
Aisa food network banana jahan har ghar ki khatoon apne kitchen se izzat se kama sake, aur har naujawan ko part time rozgar mile. MEALAWO ko Karachi ka sab se bharosemand homemade food brand banana, phir poore Pakistan tak le jana.
Mission
Rozana kya karna hai.
- 01Roz taaza, hygienic aur ghar ka pakka hua khana waqt par pohanchana
- 02Ghar ki khawateen ko halal aur mehfooz zariya-e-aamdani dena
- 03Naujawano ko part time delivery ka kaam dekar unki madad karna
- 04Qeemat itni rakhna ke aam shop keeper rozana afford kar sake
- 05Safai aur quality par kabhi samjhauta na karna
Kis par samjhauta nahi
Paanch baatein.
- Ghar ka zaiqa
- Restaurant style nahi. Ghar ka asli khana, wohi masala, wohi haath.
- Safai
- Kitchen ka check, saaf packing, sealed box. Is par koi rayat nahi.
- Waqt ki pabandi
- Lunch ka matlab lunch time. Late khana, khana nahi rehta.
- Insaaf ki qeemat
- Aam admi ka budget. Rozana afford ho sake, warna kaam ka nahi.
- Rozgar
- Har order se khatoon ko aamdani, naujawan ko kaam. Ye side baat nahi, ye asal baat hai.
Apni dukan par shuru karna hai?
Tafseel bhej dein. Hamara banda kal aap ki dukan par sample ke sath aayega. Kha kar dekh lein, phir faisla karein.